Thursday, August 8, 2013

Desh ke dushman



Sab dekhte hai hum,
par kuch bol nahi sakte,
Sab jante hai hum,
par kuch kar nahi sakte......

Are jinki haath mein hai dor,
jab woh hi usse katate phire,
tab kis ummed mein rahe....
kaun desh ko bacha sake??

Yahan har gora hai kala,
har sachai hai jhoothi,
jisne jalayi hai diye ko,
wahi bujha jata hai usko!!

Asha aur nirasha ab,
iss desh ka pehlu ho chuka ....
desh pe marne bale hue kam,
bas desh lutne balon ka hua bhala.

satta aur dhan ki bhook hai aisi,
dushman  hi ab dost bana,
unko phoolon ki malayen mili,
desh ko kanton ka haar mila.......

Woh na sune to na sahi,
par hum to sab dekhte hai,
phir kyun kuch pal ke labh mein,
Desh kedushman bante hai !!


No comments: