Saturday, September 7, 2013

Thoda ruk jaun



Thoda ruk jaun, 
thoda thehar jaun,
abhi bahut kaam baki hai,
na dekhu idhar,
na dekhu udhar,
meri to rah aage hai !

chahte to bahut hai,
aur doston ka saath,
kuch masti, kuch shauk,
jeene the woh pal bhi,

samaye ka mahatva,
lakshya ki chinta,
hua to mein bhi,
in karya mein magan !!

haan maine bhi dekhe swapan,
jisme bhavisya ki thi jhalak,
aur chalta chala mein yunhi,
apni inhi raho mein....
kebal ek hi tha chintan,
pana tha us laksya ko,
aur paya bhi usko aise,
khusi payi kuch pal ki....

par chalte chalte ab,
hua bahut dur mein,
woh lamhe jeene the jo,
bhul gaya mein usse,
mauke bhi aaye,
kuch prayas hamare bhi,
ichhayen jo thi bhitar,
par sahas na kar saka !!

Thoda ruk jata,
thoda thehar jata,
uss mausam ko bhi jee leta,
daudta hi raha,
chalta hi raha,
aur samaya yun beet gaya. 

Jo gaya so gaya,
bas kuch yadein baki hai,
tuti hui, sehmi hui,
kuch aas baki hai....
aage aa chuka hun mein,
woh pal na lautenge,
bas jo ab hai mera.....
Ussi mein jeena hai, 
haste hue chalte rehna hai. :)