ho ek aisa ashiyan,
na ho jahan burai ki chaap,
jahan ho hum asie paas khud se,
na koi kare hume tang.
hai woh ek aisi duniya,
jahan na ho koi budhapa,
na bachpan ya jawaani,
jo ho ek chitrakari jaisi,
mil jaye sab duniya ke raang.
mauka ho sabke pass,
jo chunna chahe apne raaste,
ya to jiyo iss muskil jindagi mein,
ya kho jao apne asli raang mein,
chun sako tum woh sab khusiyan,
aur dil mein na ho koi paap,
gum ho na jahan muskil ke pal,
aur sabhi jiv rahen sath mil ke,
aur bura na lage dil ko kabhi,
ho itna biswas hume khud par,
haan! maine bhi li thi yahan,
ek choti si sapno ki udaan....
dhundta hua woh jagah,
khoya tha apne khayalon mein.
pata tha sach na honge yeh,
sirf hai yeh ek sundar sapna,
thi ek choti si bachpana isme,
aur dabe ichayon ka ehsaas,
par, phir bhi dil ko chu jati thi,
aisi sapno ki udaan.
toh yeh tha ek bachpan ki udaan,
jo li thi kabhi maine apne dil mein,
bhul gaya jisi mein aab,
chalte hue iss jindagi mein.
par sach yeh bhi hai yahan,
ki kitno ke sapne yeh hai sanjoye,
aur kitni choti choti khwaise liye,
kabhi hum sabne liye honge...yeh sapno ki udaan.
No comments:
Post a Comment