ae desh ke nav jawano,
dil mein rakho kurbani ki chah,
bharat mata ko le lo unchai par,
niche kar do sara jahan.
jahan prem phal phulata hai,
jhan shanti hamesha rehta hai,
jahan jati prem hota hai,
wah bharat mata hi hai.
jahan des par marne bale,
jahan des ko pyar karne bale,
jahan shanti bikharne bale,
us des ko aage lana hai.
unko yaad karo jinhone,
des ke liye kurbani di thi,
jinhone apni jaan de kar,
bharat mata ki raksha ki thi.
jinhone apne ghar ko ujadkar,
dusro ke ghar basaye the,
jara yaad karo unko jinhone,
dusro ke liye apni khusiya diye the.
ae des ke nav jawano,
dil mein rakho kurbani ki chah,
bharat mata ko le lo unchai par,
niche kar do sara jahan.
No comments:
Post a Comment